Urdu Ghazal - Tumblr Posts
Tum mukhatib bhi ho qarib bhi ho,
Tum ko dekhien ki tum se baat karen.
Firaq Gorakhpuri

Ise hasaao, yeh mar na jaaye,
Yeh muddaton se hasaa nhi hai,
Kiraaye par tum makaan le lo,
Mere to dil mein jagah nhi hai.
Hamza Hassam
اسے ہنساؤ، یہ مر نہ جائے،
یہ مدتوں سے ہنسا نہیں ہے،
کرایے پر تم مکان لے لو،
میرے تو دل میں جگہ نہیں ہے۔
حمزہ حسام
Ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kehte hain,
🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍
Mohabbat ki isi mitti ko hindustaan kehte hain.
RAHAT INDORI
Happy Independence Day
🧡🤍💚
Roz taaron ko numaaish mein khalal padta hai,
Chand pagal hai andhere mein nikal padta hai.
RAHAT INDORI
Ab dil ki tamanna hai to ae kaash yahi ho,
Aansu ki jagah aankh se hasrat nikal aae.
AHMAD FARAZ

Yeh shafaq chaand sitaare nahin achchhe lagte,
Tum nahin ho toh nazaare nahin achchhe lagte.
INDIRA VARMA

یہ شفق چاند ستارے نہیں اچھے لگتے ،
تم نہیں ہو تو نظارے نہیں اچھے لگتے۔
اندرا ورما
Hamein hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge,
Tumhein hai sharm to ankhon pe haath dhar lena.
DAGH DEHLVI
Chupke chupke rat din aansu bahana yaad hai,
Ham ko ab tak aashiqui ka wo zamana yaad hai.

Hasrat Mohani
ilaaj apna karate phir rahe ho jaaane kis kis se,
Mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyn nahi karte,
Tumhare dil pe apna naam likkha ham ne dekha hai,
Hamari cheez phir ham ko inayat kyn nahi karte.
Farhat Ehsaas

Mujh ko maloom hai mahbub-parasti ka azab,
Der se chaand nikalna bhi galat lagta hai.
Ahamad Kamal Parwazi
Yeh Chaman-zar yeh Jamuna ka kinara yeh Mahal,
yeh Munaqqash dar-o-divar yeh Mehrab yeh Taaq,
Ek shahenshah ne daulat ka sahara le kar,
Ham gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq.
SAHIR LUDHIANVI



Jaan insan ki lene Walon mein,
Ek hai maut dusra hai ishq.
MEER MEHDI MAJROOH



Aap pehlu mein jo baithein to sambhal kar baithein
Dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane ki
Jaleel Manikpuri
Tum jaante ho mujhe kya pasand hai?
Barasti barish.
Samundar ki lehrain.
Phoolon ki khushboo.
Chaandni raatain.
Achhi shayari.
Aur sab se zyada.
Is tehreer ka pehla lafz.
تم جانتے ہو مجھے کیا پسند ہے؟
برستی بارش۔
سمندر کی لہریں۔
پھولوں کی خوشبو۔
چاندنی راتیں۔
اچھی شاعری۔
اور سب سے زیادہ۔
اس تحریر کا پہلا لفظ.
Roz taaron ko numaaish mein khalal padta hai,
Chand pagal hai andhere mein nikal padta hai.
Rahat Indori

Toote Makaan Ik Bar Gir Kar Waise Bante Kahan Hai,



Bad-Qismati ko ye bhi gavara na ho saka,
Ham jis pe mar mite vo hamara na ho saka.
Shakeb Jalali




Zamane bhar k jaghde, ghar k kisse, kaam ki baatien,
Balaa har ek tal jaaye agar tum milne aajaao.
Gulzar
Teri kayi tasveerein hai mere paas magar,
Dil fir bhi Tera deedar chahta hai.
Unknown



Kaun badan se aage dekhe aurat ko,
Sab ki aankhein girvi hain is nagri mein.
Hamida Shaheen